Naa main tumse koyi ummid rakhun dil-nawazi kee
Naa tum meri taraf dekho galat-andaaz nazaron se
Naa mere dil kee dhadakan ladkadaae meri baathon mein
Naa zaahir ho tumhaaree kashmakash ka raaj nazaron se
Chalo ek baar phir se ajanabi ban jaaen hum donon
Chalo ek baar phir se ajanabi ban jaaen hum donon
Tumhein bhee koyi uljhan rokatii hai pesh-qadami se
Muje bhee log kehthe hain ki ye jalwe parae hain
Mere hamraah bhee rusavaaiyaan hain mere maazi kee
Tumhaare saath bhee guzari huee raaton ke sae hain
Chalo ek baar phir se ajanabi ban jaaen hum donon
Chalo ek baar phir se ajanabi ban jaaen hum donon
Chalo ek baar phir se ajanabi ban jaaen hum donon





