Bedardi balma tujhko
Mera man yaad karta hai
Bedardi balma tujhko
Mera man yaad karta hai
Barasta hai jo aankhon se
Woh saawan yaad karta hai
Bedardi balma tujhko
Mera man yaad karta hai
Kabhi hum saath guzre
Jin sajeeli raahguzaaron se
Fiza ke bhes mein girte hain
Ab patte chanaaron se
Yeh raahein yaad karti hain
Yeh gulshan yaad karta hai
Bedardi balma tujhko
Mera man yaad karta hai
Barasta hai jo aankhon se
Woh saawan yaad karta hai
Bedardi balma tujhko
Mera man yaad karta hai
Koi jhonka hawa ka
Jab mera aanchal udata hai
Gumaan hota hai jaise tu
Mera daaman hilaata hai
Kabhi chooma tha jo tune
Woh daaman yaad karta hai
Bedardi balma tujhko
Mera man yaad karta hai
Barasta hai jo aankhon se
Woh saawan yaad karta hai
Bedardi balma tujhko
Mera man yaad karta hai
Wohi hain jheel ke manzar
Wohi kiranon ki barsaatein
Jahan hum-tum kiya karte the
Pehro pyaar ki baatein
Tujhe is jheel ka
Khamosh darpan yaad karta hai
Bedardi balma tujhko
Mera man yaad karta hai
Barasta hai jo aankhon se
Woh saawan yaad karta hai
Bedardi balma tujhko
Mera man yaad karta hai




