Haa. aaa. aaaa...
Kaisi khala yeh dil main basi hai
Ab toh khalayein fitrat hi si hai
Kaisi khala yeh dil main basi hai
Ab toh khalayein fitrat hi si hai
Main hi hoon wo jo rehmat se gira
Aye khuda
Gir gaya, gir gaya
Main jo tujhse door hua
Lut gaya, lut gaya
Itni khatayein tu lekar chala hai,
Daulat hi jaise tera ab khuda,
Har pal bitaayein tu jaise hawa hai,
Gunaah ke saaye main chalta raha,
Samandar sa behkar tu chalta hi gaya
Teri marzi poori ki, tune har dafa
Tu hi tera mujrim bandeya
Aye khuda
Gir gaya, gir gaya
Main jo tujhse door hua
Lut gaya, lut gaya
Kyun judta iss jahan se tu ik din yeh guzar hi jayega,
Kitna bhi samet le yaha mutthi se phisal hi jayega,
Har shakhs hai dhool se bana aur phir usmein hi ja mila,
Yeh haqeeqat hai tu jaanle kyun sach se muh hai pherta,
Aaaa... Aaa...
Chahe jo bhi hasrat poori karle,
Mitegi na hasrat yeh samajhle,
Mit jayegi teri hasti,
Bhar na payega yeh dil bandeya,
Aye khuda
Gir gaya, gir gaya
Main jo tujhse door hua
Lut gaya, lut gaya
Haa. aaa. aaaa...



