Na aaya hai na aayega Imamul Ambia jaisa
Banaya hi nahi rab ne jahan me Mustafa jaisa
Na milti hai kahi walail jaisi zulf e duniya me
Na paya hai koi chehra jahan e wazuha jaisa
Na aaya hai na aayega Imamul Ambia jaisa
Banaya hi nahi rab ne jahan me Mustafa jaisa
Mohammad hai wahi Ahmad, wahi Hamid, wahi Mahmood
Bhala koi kaha dekhe Habib-e-Kibriya jaisa
Na aaya hai na aayega Imamul Ambia jaisa
Banaya hi nahi rab ne jahan me Mustafa jaisa
Najiullah, Safiullah, Kalimullah, Habibullah
Nahi wallah duniya me koi Khairul Wara jaisa
Na aaya hai na aayega Imamul Ambia jaisa
Banaya hi nahi rab ne jahan me Mustafa jaisa
Shab-e-Meraj me jisne nabiyon ki imamat ki
Na dekha hai kisi ne bhi dulare muqtada jaisa
Na aaya hai na aayega Imamul Ambia jaisa
Banaya hi nahi rab ne jahan me Mustafa jaisa
Wahi khatim, wahi kamil, wahi sadq amil o go
Qayamat tak nahi aana koi us rehnuma jaisa
Na aaya hai na aayega Imamul Ambia jaisa
Banaya hi nahi rab ne jahan me Mustafa jaisa
Nabi ki naat kehna kaam aala hai suno Azhar
Jahan me aur nahi koi Muhammad ki sada jaisa