Aaye kuch abr kuch sharaab aaye
Uske baad aaye jo azaab aaye
Aaye kuch abr
Baam-e-Minaa se maahtaab utre
Dast-e-saaqi mein aaftaab aaye
Aaye kuch abr
Kar rahaa tha gham-e-jahaa'n ka hisaab
Aaj tum yaad, behisaab aaye
Aaye kuch abr
"Faiz" thi raah sarbasar manzil
Hum jahaan pahunche kaamyaaab aaye
Aaye kuch abr kuch sharaab aaye
Uske baad aaye jo azaab aaye




