Dil shaad tha ke phool khilenge bahaar mein
Maara gaya ghareeb isi aitbaar mein
Mujhe teri mohabbat ka sahara mil gaya hota

Agar toofaan nahin aata, kinara mil gaya hota

♪
Na tha manzoor qismat ko
Na thi marzi bahaaron ki
Nahin toh iss gulistaan mein
Nahin toh iss gulistaan mein
Kami thi kya nazaron ki?
Meri nazron ko bhi koi nazara mil gaya hota
Agar toofaan nahin aata, kinara mil gaya hota
Mujhe teri mohabbat ka sahara mil gaya hota
♪
Khushi se apni aankhon ko
Main ashkon se bhigo leta
Mere badle tu hans leti
Mere badle tu hans leti
Tere badle main ro leta
Mujhe ae kaash tera dard saara mil gaya hota
Agar toofaan nahin aata, kinara mil gaya hota
Mujhe teri mohabbat ka sahara mil gaya hota
♪
Mili hai chaandni jinko
Yeh unki apni qismat hai
Mujhe apne muqaddar se
Mujhe apne muqaddar se
Faqat itni shikayat hai
Mujhe toota hua koi sitaara mil gaya hota