Jeene ki hai
Tu hi wajah
Jeena tere liye
Main kya kahun
Ke yaar tu
Hai kya mere liye
Zamane mein kahin
Meri tarah kabhi
Chahega na koi
Tujhko
Jaise maine diya
Waise poori tarah
Dil dega na koi
Tujhko
Tujhko
Jab se mila tujhko
Tujhko
Maana jahan tujhko
···Music···
Subah ki saari phurtiyan
Bekhudi har shaam ki
Na ho tere saath mein toh
Mere kis kaam ki
Uthe jo mera har kadam
Tere sang shuruat mein
Haath daale haath mein
Fikr kya anjaam ki
Mujh mein zyada ab tu hi hai
Jitna main hoon woh kyun hi hai
Kuch aisa kar main dhoondhun bhi
Toh paunga khud ko
Tu hi toh aasmaan
Tu hi meri zameen
Maana hai zindagi
Tujhko
Bin maange har dua
Poori hui meri
Paaya jo humne
Tujhko
Tujhko
Jab se mila tujhko
Tujhko
Galtiyaan bhi teri
Main gawara karoon
Ye khata hi sahi
Par dobara karoon
Kya karoon sarphira
Ishq hi hai mera
Izhaar ka yahi
Tareeka hai mera
Aankhon ki hai
Tu roshni
Tu hi toh khwaab hai
Main hoon agar
Sawaal toh
Tu hi jawaab hai
(Zamane mein kahin)
(Meri tarah kabhi)
(Chahega na koi)
(Tujhko)
(Jaise maine diya)
(Waise poori tarah)
(Dil dega na koi)
(Tujhko)
(Tujhko)
(Tujhko)





