Aye sanam, meri betaabi ko mitaao na, mitaao na
Baarishein barsa do chaahat ki, aao na, aao na
Zara khil uthe dil ki ye zameen, aye hum-nasheen
Duaa dengi tujhko, yeh dil todna nahi
Aye sanam, meri betaabi ko mitaao na, mitaao na
Tum pe fida-fida meri wafa-wafa
Baat rakh lo zara deewane ki
Aashiq luta-luta, tum mein duba-duba
Jaan bacha lo zara deewaane ki
Kinaara mile teri baahon ka, aye hum-nasheen
Duaa dengi tujhko, yeh dil todna nahi
Aye sanam, meri betaabi ko mitaao na, mitaao na
Zulfein khuli-khuli, palkein jhuki-jhuki
Hosh mein bhi chhupi bekhudi hai
Tirchhi nigaah-nigaah, hum hain tabaah-tabaah
Tere haathon mein ab zindagi hai
Tera pyaar de, zara jeene de, aye hum-nasheen