Aap kee nazaron ne samajh pyaar ke qaabil muje
Dil kee ai dhadkan thahar jaa, mil gayi manzil muje
Aap kee nazaron ne samajh
Jee, hamein manzur hai aap ka ye faisalaa
Jee, hamein manzur hai aap ka ye faisalaa
Kah rahee hai har nazar; "banda-parvar, shukriya"
Do jahaan kee aaj khushiyaan ho gayi hasil muje
Aap kee nazaron ne samajh
Aap kee manzil hoon main, meri manzil aap hain
Aap kee manzil hoon main, meri manzil aap hain
Kyun main tufaan se darun? mera saahil aap hain
Koyi toofaanon se kah de mil gaya saahil muje
Aap kee nazaron ne samajh pyaar ke qaabil muje
Aap kee nazaron ne samajh





