Lab ab khulne lage hain
Sile the, udhdane lage
Lab ab badhane lage hain
Had se nikalne lage
Khaamoshiyon se, sargoshiyon se
Sach main kahoon, kahoon
Lab ab chalne lage hain
Sanbhale the, phisalane lage
Lab ab badalne lage hain
Bhale the, bigadane lage
Khaamoshiyon se, sargoshiyon se
Sach main kahoon, kahoon
Kahoon, kahoon
Kahoon main toote thaaron se
Zarre-zarre, aasmaanon se
Suno ke lab azaad hain
Imaan ke paharedaaron se
Kahoon rasm-o-rivaayat se
Buund-buund mein saharaaon se
Suno ke lab azaad hain
Pahchaan ke paharedaaron se
Kahoon, kahoon
(kahoon faiz se, firaaq se)
(seene mein sulagate alfaaz se)
Suno ke lab azaad hain
(awaz dabaane waalon se)
Kahoon, kahoon
(main kahoon)

