Pehle na samjha pyaar tha
Samjha to tumhi chal diye
Tum to gaye pardesh
Hum rote hain milne ke liye
Pehle na samjha pyaar tha
Samjha to tumhi chal diye
Taaron bhari wo raat thi
Apni gali aabaad thi
Bachpan tha, Holi baad thi
Pehli-pheli mulaqaat thi
Tum to gaye pardesh
Hum rote hain milne ke liye
Pehle na samjha pyaar tha
Samjha to tumhi chal diye
Chubhti hai ab wo kahaniyaan
Pyaar bhari pareshaaniyaan
Humse hui naadaaniyaan
Tadapa kare ab jawaaniyaan
Tum to gaye pardesh
Hum rote hain milne ke liye
Preetam, gaye kyun chhod ke?
Aao phir naata jod ke
Kya paaoge dil tod ke?
Apne ghar se muh mod ke
Tum to gaye pardesh
Hum rote hain milne ke liye
Pehle na samjha pyaar tha
Samjha to tumhi chal diye
Chal diye
Tumhi chal diye




