Maana hum yahan hai
Dil magar wahan hai
Badi door humse
Humsafar mera hai
Banke hawa Aa Bhi Jaaun main lekin
Nahi jaanti Uske Dil mein hai kya
Kuch baatein hai
Kehni unse
Chahke bhi nahi Keh paate hai
Jo mere dil mein hai
Uske hai ya nahi
Soch kar har dafa ghabrate hai
Kuch baatein hai
Kehni unse
Chahke bhi nahi Keh paate hai
Music...
Saath tera humein
Har kadam chahiye
Zindagi mein humein
Sirf tum chahiye
Isse zyada humein
Kuchh nahi chahiye
Aarzoo hai yahi
Mere ban jaaiye
Tumhein maante
Hai ... se bhi zyada
Humari nazar se Kabhi dekhna
Kuch baatein hai Kehni unse
Chahke bhi nahi Keh paati hai
Jo mere dil mein hai
Uske hai ya nahi
Soch kar har dafa Ghabrate hai
Music...
Shaam woh aakhiri
Yaad hai aaj bhi
Hoke hum tum juda
Phir mile na kabhi
Dil yeh kehta raha
Rok lo tum humein
Tumne jaate hue
Kuchh kaha hi nahi
Aankhon mein nahi
Ek aansu magar
Dil mein kitni Barsaatein hain
Ja rahe hai sanam
Mehfilon se teri
Pyar tera yahin Chhod jaate hai
Yeh dobara kabhi
Aankhon mein na chubhe
Khwaab tere sabhi Tod jaate hai
Kuch baatein hai Kehni unse
Chahke bhi nahi Keh paate hai
Jo mere dil mein hai
Uske hai ya nahi
Soch kar har dafa Ghabrate hai





