Yeh lamha jo thehra hai Mera hai ye tera hai
Yeh lamha main jee loon zara
Tujh mein khoya rahoon main Mujh mein khoyi rahe tu
Khudko dhoondh lenge phir kabhi Tujhse milta rahoon main
Mujhse milti rahe tu Khud se hum milenge phir kabhi
Haa..phir kabhi
Kyun bewajah gungunaaye Kyun bewajah muskuraaye
Palkein chamakne lagi hai Ab khwaab kaise chupaaye
Behki si baatein kar lein Hans hans ke aankhen bhar lein
Ye behoshiyan phir kahan
Tujhme khoya rahoon main Mujhme khoyi rahe tu
Khud ko dhoondh lenge phir kabhi
Tujhse milta rahoon main Mujhse milti rahe tu
Khud se hum milenge phir kabhi Haa..phir kabhi
Dil pe taras aa raha hai Pagal kahin ho na jaaye
Woh bhi main sun'ne laga hoon Jo tum kabhi keh na paaye
Yeh subah phir aayegi Yeh shaamein phir aayengi
Yeh nazdeekiyaan phir kahan
Tujhme khoya rahoon main Mujhme khoyi rahe tu
Khud ko dhoondh lenge phir kabhi
Tujhse milta rahoon main Mujhse milti rahe tu
Khud se hum milenge phir kabhi Haa..phir kabhi





