Jinke Seene Mein Baste Shri Ramchandra Aur Janaki
Gaayein Leela Mahaveer Bajrang Bali Hanuman Ki
Anjani Maa Ke Laal Maruti Chait Poornima Janm Liye
Sundar Meetha Phal Samajhkar Suraj Ko Woh Nigal Gaye
Indra Ne Kiya Vajra Se Vaar, Ghayal Ho Gaye Anjani-Laal
Brahma Ji Deve Vardaan, Bane Bajrangi Ati Balwaan
Kesari Nandan Balshaali Jay Jay Bolo Balwaan Ki
Gaayein Leela Mahaveer Bajrang Bali Hanuman Ki
Saagar Paar Gaye Bajrangi Khabar Siya Ki Laane
Van Ashok Vatika Ujaadi, Lage Madhur Phal Khaane
Raakshas Saare Kare Prahaar, Hanumat Maare Asur Vishal
Poonchh Se Saari Lanka Jalaakar Pavanputr Ne Kiya Kamaal
Seeta Maiyya Ke Ati Pyaare Ramdoot Gunvaan Ki
Gaayein Leela Mahaveer Bajrang Bali Hanuman Ki
Baan Laga Jab Lakshman Ko, Tab Unke Praan Bachaane
Parvat Lekar Ude Gagan, Sanjeevani Booti Laane
Lanka Jeet Liye Shri Ram, Ram Charan Baithe Hanuman
Kahe Vibhishan Ati Vidwaan, Kya Hanumat Ke Dil Mein Ram?
Phaad Ke Seena Dikha Diye Prabhu Ramchandra Maa Janaki
Gaayein Leela Mahaveer Bajrang Bali Hanuman Ki





