ABS on the beat, yeah
Likh raha tumhare pate ki main chitthi
Kya ghar wala naam likhun kya?
Chitthi pehchanogi kaise
Main pyaar ka apni vo naam likhun kya?
Mohabbat ki baat hui to kya chitthi ko phaadun, naraaz rahun kya?
Phir bistar mein jaate hi khidki nihaarun
Mohabbat ko yaad karunga
Tu cigarette ki tarah
Main honton se tujhko lagaun to naash karunga
Aur chhodun jo tujhko
Talab teri aisa main khud ko barbaad karunga
Chhodo, in yaadon ka bakse mein band kar
Darwaze mein taala karun kya?
Ab kamre mein sirf tu aur chaar deewaarein
Main kamre se baahar karun kya?
Nikla main khud ke makaan se
Khayalon se shayad azaad rahunga
Kitaabon ki taraf main bhaaga ki shayad likhi koi baat padhunga
Ab padh Li kitaabein aur socha na
Pehli kitaab tere naam likhunga
Aa chal tere hi naam sahi
Par main kaagaz mein aksar sab laal likhunga
Par likhte waqt kambakht kalam ne
Baarish ki baat likhi na thi
Palte jo panne kahani ke
Toote dil baat likhi na thi
Aur likha vo noor khuda si hai
Us pe sirf saadiyaan khilti hain
Haathon ki choodiyaan jhankti hain
Par choodiyaan laal hi khilti hain
Noor jahaan ki tu
Noor adaa teri
Khoob saje gajra
Mehke fizaa se hi
Noor ujaala tu
Jugnu andhere ka
Ab sharana hai
Nargis nigaah teri
Boond to paani ki
Pyaasi samundar ki
Saawan ki baarish
Tu neelam us darje ka
Surma hai aankhon mein
Bindiya aur jhumke laa
Kangan pehna dun pushtaini
Main kundan ka
Resham si makhmal
Yeh chunri ka kapda
Jo sar pe laga dun to ghoonghat ka sajda
Sangmarmar si chamke
Nazaakat ka parda
Main dilruba likh dun
Par dilkash nazaara tu
Noor jahaan ki tu
Noor adaa teri
Khoob saje gajra
Mehke fizaa se hi
Noor jahaan ki tu
Noor adaa teri
Khoob saje gajra
Mehke fizaa se hi
Noor ujaala tu
Jugnu andhere ka
Ab sharana hai
Nargis nigaah teri





