Naam Ram ko ank hai
Sab saadhan hai soon
Naam Ram ko ank hai
Sab saadhan hai soon
Ank gaye kachhu hath nahin
Ank rahe dus gun
O Rama, ank rahe dus gun
Naam Ram ko ank hai
Sab saadhan hai soon
Ank gaye kachhu hath nahin
Ank rahe dus gun
Ho Rama, ank rahe dus gun
Tulasidas ji kehte hain
Ki duniya mein sirf Ram naam hi aisa ank hai
Jisko bhajkar har manokamana puri hoti hai
Baki sab shunya hai
Ram naam ka ank hai to sabhkuchh hai
Varna kuchh nahin
Jaise shunya se pahle ank laga dene par
Ank ka maan dus gunaa badh jata hai
Theek waise hi Ram naam japane se
Jeevan dus guna anandmay ho jata hai





