Simti si, sharmaayi si kis duniya se tum aayi ho?
Simti si, sharmaayi si kis duniya se tum aayi ho?
Kaise jahan mein samaayega itna husn jo laayi ho
Simti si, sharmaayi si kis duniya se tum aayi ho?
Heera nazar, chaandi badan
Resham haseen, mukhda chaman
Kangaal hain saare haseen
Bas ek tum hi rakhti ho dhan
Luutne ka dar hai, ghabraayi ho
Luutne ka dar hai, ghabraayi ho
Simti si, sharmaayi si kis duniya se tum aayi ho?
Jab tak tumhe dekha nahin
Yeh dil kabhi dhadka nahin
Aaye-gaye kitne sanam
Maine magar puja nahin
Tum dil ki pehli angdaai ho
Tum dil ki pehli angdaai ho
Simti si, sharmaayi si kis duniya se tum aayi ho?
Aankhein mili, vaada hua
Kuchh keh diya, kuchh sun liya
Thehre kahan betaab dil
Kaise mile apna pata
Zulfon ki badli jab chhaayi ho
Zulfon ki badli jab chhaayi ho
Simti si, sharmaayi si kis duniya se tum aayi ho?
Kaise jahaan mein samaayega itna husn jo laayi ho
Simti si, sharmaayi si kis duniya se tum aayi ho?
Kis duniya se tum aayi ho?
Umm-hmm-hmm, tum aayi ho?





