Tu hai mere lafzon se hi bana
Kaamil nahin ye pyaar to phir kya raha?
Ye saans bhi tera naam gungunaaye
Ye shaam bhi tujhe dhoondhte guzar jaaye
Kaahe mose nain-nain tu churaaye?
Rain-bhar neend mujhko na aaye
Kaahe mere dil ko na koi bhaaye tere bina?
Kaahe mose nain-nain tu churaaye?
Rain-bhar neend mujhko na aaye
Kaahe mere dil ko na koi bhaaye tere bina?
Jaane kahaan khwaabon mein, haaye
Maine tujhko paa liya
Sang tere baaton ka, haaye
Qissa ek naya bana liya
Tu hi jo dekhe, dil kyun mera
Bhar jaaye re, sajna?
Sun le zara, laut bhi aa
Soona tere bin hai ye angna