Kahaan ho tum, zara awaaz do, hum yaad karte hain
Kabhi bharte hain aahein aur kabhi fariyaad karte hain
Kahaan ho tum, zara awaaz do...
Juda bulbul hai apne phool se
Aur ro ke kehti hai
Juda bulbul hai apne phool se
Aur ro ke kehti hai
Saari duniya kiya woh zulm jo sayyad karte hain
Kahaan ho tum, zara awaaz do...
Jahaan hain aur ab jis haal mein hain
Hum tumhare hain
Jahaan hain aur ab jis haal mein hain
Hum tumhare hain
Tumhi aabaad ho dil mein, tumhi ko yaad karte hain
Kahaan ho tum, zara awaaz do, hum yaad karte hain
Hamari be-basi yeh hai ke
Hum kuchh keh nahin sakte
Hamari be-basi yeh hai ke
Hum kuchh keh nahin sakte
Wafa badnaam hoti hai agar fariyaad karte hain
Kahaan ho tum, zara awaaz do...
Tere qadmon mein rehne ki tamanna
Dil mein rakhte hain
Tere qadmon mein rehne ki tamanna
Dil mein rakhte hain
Juda duniya ne humko kar diya, fariyaad karte hain
Kahaan ho tum, zara awaaz do, hum yaad karte hain
Kahaan ho tum...





