Saathiya...
Saathiya...
Saathiya, nahin jaana ke ji na lage
Saathiya, nahin jaana ke ji na lage
Mausam hai suhaana ke ji na lage
Saathiya, nahin jaana ke ji na lage
Saathiya, maine maana ke ji na lage
Ji ko tha samjhaana ke ji na lage
Saathiya, nahin jaana ke ji na lage
Mere achchhe baalma chhodo aaj baiyyan
Woh jhootha jo saiyyan kal aaye na
Jaake phir aaogi, aake phir jaaogi
Aane-jaane mein jawaani dhal jaaye na
O, chhodo aana-jaana ke ji na lage
Saathiya, nahin jaana ke ji na lage
Saathiya, maine maana ke ji na lage
Ji ka bura haal hai, jab se ji lagaaya
Tujhe ji mein basaaya, tere ho liye
Ji ka tha khayaal to kaahe ji lagaaya?
Mujhe ji mein basaaya, ae ji boliye
Ho, ab kaahe pachhtaana ke ji na lage
Saathiya, maine maana ke ji na lage
Saathiya, nahin jaana ke ji na lage
Jaane ki to baalma marzi nahin meri
Dar lagda hai vairi jagwaalon se
Hoye, Chhaddo vi na soniyo, jag se darte ho
Jag khud darta hai dilwaalon se
Ho, Chhodo yeh bahaana ke ji na lage
Saathiya, nahin jaana ke ji na lage
Mausam hai suhaana ke ji na lage
Saathiya, nahin jaana ke ji na lage
Saathiya, nahin jaana ke ji na lage




