(Toofan, toofan)
(Toofan, toofan, toofan)
Abhi aaya nahin hai jo
Abhi aaya hua hai jo
Abhi aane waala hai jo
Usey "Toofan" kehte hain
"Khuda ki shaan" kehte hain
Abhi aaya nahin hai jo
Abhi aaya hua hai jo
Abhi aane waala hai jo
Usey "Toofan" kehte hain
"Khuda ki shaan" kehte hain
Koi paigaam aaya hai
Yeh tere naam aaya hai
Bahut nazdeek, oh, zaalim
Tera anjaam aaya hai
Koi paigaam aaya hai
Yeh tere naam aaya hai
Bahut nazdeek, oh, zaalim
Tera anjaam aaya hai
Nahin pehchaanta kuch bhi
Nahin jo jaanta kuch bhi
Nahin jo maanta kuch bhi
Usey "Nadaan" kehte hain
Tujhe "Shaitaan" kehte hain
Badalne lag gaya hai
Rang mehfil ka, sambhal ja tu
Hawayein chal padi hain tez
Chal, bach kar nikal ja tu
Badalne lag gaya hai
Rang mehfil ka, sambhal ja tu
Hawayein chal padi hain tez
Chal, bach kar nikal ja tu
Nahin toh doob jaayega
Nahin toh toot jaayega
Usey aana hai, aayega
Jise "Toofan" kehte hain
"Khuda ki shaan" kehte hain
Abhi aaya nahin hai jo
Abhi aaya hua hai jo
Abhi aane waala hai jo
Usey "Toofan" kehte hain
"Khuda ki shaan" kehte hain
Likhe jaate hain saare faisle toh
Aasmaanon par
Wahin se bijliyaan girti hain aise
Beimaanon par
Likhe jaate hain saare faisle toh
Aasmaanon par
Wahin se bijliyaan girti hain aise
Beimaanon par
"Jo hona hai, wahi hoga
Nahin hona, nahin hoga
Yeh hona hai, yahi hoga"
Yeh sab insaan kehte hain
Tujhe "Shaitaan" kehte hain
Abhi aaya nahin hai jo
Abhi aaya hua hai jo
Abhi aane waala hai jo
Usey "Toofan" kehte hain
"Khuda ki shaan" kehte hain




