Aasmaan se rang leke, baadalon ke dhang leke
Haathon mein saja ke tujhe, udd chalunga sang leke
Aasmaan se rang leke, baadalon ke dhang leke
Haathon mein saja ke tujhe, udd chalunga sang leke
Phul mein tu, geet mein tu, jannaton ki reet mein tu
Mannaton ki paalki mein, saare taare sang leke
Chal ab waha, meethi jaha boliyaan
Chal ab jaha, raatein diwaali ho, dinn ho holiyaan
Raatein diwaali ho, dinn ho holiyaan
Dhundein yeh naina tujhe, rangon mein taaron mein
Daastaan mein boondon ki tu, kabhi ho bahaaron mein
Phulon ki baaraat mein ho tu khadi
Lagta hai jaise maine dekhi ho pari
Chal ab waha, udti jaha titliyaan
Chal ab waha, uthti jaha ho pariyon ki doliyaan
Satrangi rangon ki ho rangoliyaan
Raatein diwaali ho, dinn ho holiyaan
Jaha kare subeh meethi sabki boliyaan
Meri rooh ke paas hai tu, isliye toh khaas hai tu
Kashmakash ki zindagi mein, jeene ki bhi aas hai tu
Haseen beshiaab hai tu, duaan ka jawaab hai tu
Bheegi bheegi palkon mein bhi, kitni laajawab hai tu
Chal ab waha, udti jaha titliyaan
Chal ab waha, uthti jaha ho pariyon ki doliyaan
Satrangi rangon ki ho rangoliyaan
Raatein diwaali ho, dinn ho holiyaan
Jaha kare subeh meethi sabki boliyaan





